Waqt-E Safar Qarib Hai Bistar Samait Loon.
Bikhra Hua Hayat Ka Daftar Samait Loon.
Phir Jany Hum Milen Na Milen, Zara Ruko!
Main Dil K Aainy Mein Ye Manzar Samait Loon.
Ghairon Ne Jo Sulook Kiye Unka Kiya Gila,
Phainky Hen Doston Ne Jo Wo Pathar Samait Loon
Bharak Rahi Hai Zamany Mein Jitni Aag
Ji Chahta Hai Seeny K Andar Samet Loon
Waqt-E Safar Qarib Hai Bistar Samait Loon - Hindi Heart Touching Ghazals

Post a Comment Blogger

 
Top